Some Lines...

Gulshan ki fakat phoolon say nahin, kaanto say bhi zeenat hoti hai,
Jeenay kay liyey is duniya may, gham ki bhi zaroorat hoti hai !

Ae-wayaz-e-naadan karta hai, tu ek qayaamat ka charcha,
Yahan roz nighain milti hain, yahan roz qayaamat hoti hai !

Woh purssh-i-gham ko aayey hain, kuch keh na sakoon, chup reh na sakoon,
Khamosh rahoon to mushkil hai, keh doon to shikayaat hoti hai !

Karna hi padega zakht-e-alam, peenay hi padengay yeh aansoo,
Faryaad-o-fugan say ay naadan, tauheen-e-mohabbat hoti hai !

Jo aa kay rukay daaman pay `Saba', woh ashq nahin hai paani hai,
Jo ashq na chalkay aankho say, us ashq ki keemat hoti hai !

Gulshan ki fakat phoolon say nahin, kaanto say bhi zeenat hoti hai,
Jeenay kay liyey is duniya may, gham ki bhi zaroorat hoti hai !

I heard these lines in one of Jagjit Singh's ghazals. The lines posted above are from some site, had taken them long back. Just posting them!

Cheers,

HP

Comments

HP said…
@Mojindro,

I agree!

Cheers,
HP

Popular posts from this blog

India-Pakistan Future