Gulshan ki fakat phoolon say nahin, kaanto say bhi zeenat hoti hai, Jeenay kay liyey is duniya may, gham ki bhi zaroorat hoti hai ! Ae-wayaz-e-naadan karta hai, tu ek qayaamat ka charcha, Yahan roz nighain milti hain, yahan roz qayaamat hoti hai ! Woh purssh-i-gham ko aayey hain, kuch keh na sakoon, chup reh na sakoon, Khamosh rahoon to mushkil hai, keh doon to shikayaat hoti hai ! Karna hi padega zakht-e-alam, peenay hi padengay yeh aansoo, Faryaad-o-fugan say ay naadan, tauheen-e-mohabbat hoti hai ! Jo aa kay rukay daaman pay `Saba', woh ashq nahin hai paani hai, Jo ashq na chalkay aankho say, us ashq ki keemat hoti hai ! Gulshan ki fakat phoolon say nahin, kaanto say bhi zeenat hoti hai, Jeenay kay liyey is duniya may, gham ki bhi zaroorat hoti hai ! I heard these lines in one of Jagjit Singh's ghazals. The lines posted above are from some site, had taken them long back. Just posting them! Cheers, HP